Thursday, 11 December 2014

Ye hai Zindagi ka such




ye hai zindagi ka such

jo chaha wo kabhi paaya nahi!
jo paya wo kabhi socha nahi

jo socha wo kabhi mila nahi
jo mila raas aaya nahi

jo khoya wo yaad aata hai par
jo paya wo sambhala jata nahi

kyu ajeeb si paheli hai zindagi
jisko suljhany ka pata nahi

jivan me samjhota karna parhe
ye to koyi baii baat nahi

kyu k chubhta wahi hai jisme jaan hoti hai
akar to murd ki pahchan hoti hai

zindagi jeene ke do tarike hote hai

pahla jo pasand hai usko haasil karna sikh lo
or dusra jo hasil hai use pasand karna sikh lo

zindagi jeena aasan nahi hota
bina sangharsh koyi mahaan nahi hota

jab tak na parhye hathore ki chot
patthar bhi bhagwan nahi hota

zindagi bahut kuch sikhati hai
kabhi hansati hai to kabhi rulati hai

par jo har haal me khush rahte hai
zindagi unke aage sir jhukati hai

chahre ki hansi se har gam churao
bahut kuch bolo par kuch na chupao

khud na rutho kabhi par sab ko manao
raaz hai ye zindagi ka bas jeete chale jaao

yahi hai zindagi ka such




No comments:

Post a Comment