Aik qatra malaal bhi boya nahin geya
Woh khauf tha ke logon se roya nahin geya,
Yeh sach hai ke teri bhi neendain ujarr gayin,
Tujh se bichar ke hum se bhi soya nahin geya
Us raat tu bhi pehle sa apna nahin laga,
Us raat khul ke mujhse bhi roya nahin geya,
Daman hai khushk, ankh bhi chup chaap hai bohat,
Larriyon mein aansuyon ko piroya nahin geya,
Alfaaz talkh, baat ka andaaz sard hai,
Pichlaa malaal aaj bhi goya nahin geya,
Ab bhi kahin kahin pe hai kalakh lagi huyi,
Ranjish ka daagh theek se dhoya nahin geya..
No comments:
Post a Comment