Friday 27 September 2013

Farhat Abbas Shah: Sham k baad










Tune dekha hai kabhi ek nazar sham ke bad
kitne chup-chap se lagate hain shajar sham ke bad

itane chup-chap ke raste bhi rahenge la-ilm
chod jayenge kissi roz nagar sham ke bad

main ne aisee hi gunah teri judai mein kiye
jaise tufan mein koi chod de ghar sham ke bad

sham se pahale wo mast apni udanon mein raha
jis ke hathon mein the tute hue par sham ke bad

raat biti to gine aable aur phir socha
kon tha bais-e-agaz-e-safar sham ke bad

tu hai suraj tujhe malum kahan raat ka dukh
tu kisi roz mere ghar mein utar sham ke bad

laut aaye na kissi roz wo aawara majaz
khol rakhte hain isi aas pe dar sham ke bad






No comments:

Post a Comment