Monday 10 June 2013

Maine Socha Na Tha





Ek Din Aap Yoon Humko Mil Jayenge 
Phool Hi Phool Raahon Mein Khil Jayenge 
Maine Socha Na Tha 
Ek Din Zindagi Itni Hogi Haseen 
Jhoomega Aasmaan Gaayegi Ye Zameen 
Ek Din Zindagi Itni Hogi Haseen 
Jhoomega Aasmaan Gaayegi Ye Zameen 
Maine Socha Na Tha 
Dil Ki Daali Pe Kaliyaan Si Khilne Lagin 
Jab Nigaahein Nigaahon Se Milne Lagin 
Dil Ki Daali Pe Kaliyaan Si Khilne Lagin 
Jab Nigaahein Nigaahon Se Milne Lagin 
Ek Din Is Tarah Hosh Kho Jayenge 
Paas Aaye To Madhosh Ho Jayenge 
Maine Socha Na Tha 
Ek Din Aap Yoon Humko Mil Jayenge 
Phool Hi Phool Raahon Mein Khil Jayenge 
Maine Socha Na Tha 
Jagamagati Hui Jaagti Raat Hai 
Raat Hai Ya Sitaaron Ki Barsaat Hai 
Jagamagati Hui Jaagti Raat Hai 
Raat Hai Ya Sitaaron Ki Barsaat Hai 
Ek Din Dil Ki Raahon Mein Apne Liye 
Jal Uthenge Mohabbat Ke Itne Diye 
Maine Socha Na Tha 
Ek Din Zindagi Itni Hogi Haseen 
Jhoomega Aasmaan Gaayegi Ye Zameen 
Maine Socha Na Tha 
Ek Din Aap Yoon Humko Mil Jayenge 
Phool Hi Phool Raahon Mein Khil Jayenge 
Maine Socha Na Tha 
Maine Socha Na Tha 
Maine Socha Na Tha



Thursday 6 June 2013

Sawar lu







Hawa Ke Jhonke Aaj
Mausamo Se Rooth Gaye,
Ghulo Ki Surkhian,
Jo Bhawre Aa Kke Loot Gaye,
Badal Rahi Hai Aaj Zindgi Ki Chaal Zara,
Isi Bahane Kyu Na Main Bhi Dil Ka Haal Zara,
Sawaar Loon, Haye Sawaar Loon
Sawaar Loon, Haye Sawaar Loon
Waraamde Purane Hain
Nayi See Dhoop Hai,
Jo Palkein Khat Khta Raha Hai
Kiska Roop Hai,
Sharartein Kare Jo Aise,
Bhool Ke Hizaab,
Kaise Usko Naam Se
Main Pukaar Loon,
Sawaar Loon, Haye Sawaar Loon
Sawaar Loon Sawaar Loon
Hawa Ke Jhonke Aaj
Mausam Se Rooth Gaye,
Ghulo Ki Surkhian,
Jo Bhawre Aa Kke Loot Gaye,
Badal Rahi Hai Aaj Zindgi Ki Chaal Zara,
Isi Bahane Kyu Na Main Bhi Dil Ka Haal Zara.

Wednesday 5 June 2013

Zindagi se from Raaz 3




Link to listen:
http://sound30.mp3slash.net/indian/raaz3/[Songs.PK]%20Raaz%203%20-%2002%20-%20Zindagi%20Se.mp3






Zindagi se chura ke

Zindagi mein basa ke

Zindgaani banaya hai tujhe

Roothe rab ko mana ke

Aasmaan ko jhuka ke

Zindgaani banaya hai tujhe

Tu mila jis tarah saba mile

Tu mila jis tarah sila mile

Tu mila jis tarah duaa mile, bakhuda

Tu mila toh jaise main jee gaya

Tu mila mukammal main ho gaya

Tu mila toh phaila hai noor sa bakhuda




Zindagi se chura ke

Zindagi mein basa ke

Zindgaani banaya hai tujhe




Mehfoos tu mehsoos kar

Tere paas hoon main sada

Tujhse nahi ho sakta main

Pal bhar bhi ab judaa

Ab saath hain hum iss tarah

Aankhon ke sang palkein

Aa waqt ko yeh baat hum

Ik baar phir se kehde

Saare ghum se chupaake

Har nazar se bacha ke

Zindgaani banaya hai tujhe




Tu mila jis tarah sabah mile

Tu mila jis tarah silah mile

Tu mila jis tarah dua mile bakhuda

Tu mila toh jaise main jee gaya

Tu mila mukamaal main ho gaya

Tu mila toh phaila hai noor sa bakhuda




Baahon mein aa ho jaayenge

Shikve sabhi khud fanaa

Honthon se main tujhko suno

Aankhon se tu kuch suna

Tu aks hai, main aayina

Phir kya hai sochna

Ik doosre mein kho ke hai

Ik doosre ko paana

Kismaton ko jaga ke

Har jahaan ko hara ake

Zindgaani banaya hai tujhe




Tu mila jis tarah sabah mile

Tu mila jis tarah silah mile

Tu mila jis tarah dua mile bakhuda

Tu mila toh jaise main jee gaya

Tu mila mukamaal main ho gaya

Tu mila toh phaila hai noor sa bakhuda

Darwaza Khula Rakhna


Ibn-e-Insha Poetry



Dil dard ki shiddat se khoon-gashta-o-see paara,
Is sheher mein phirta hai ek wehshee-o-awara,
Shayar hai ke aashiq hai, jogi hai ke banjara,
Darwaza khula rakhna,

Seene se ghata uthe, aankhon se jhari barse,
Phaagan ke nahi badal, jo chaar ghadi barse,
Barkha hai ye bhaado ki, barse to badi barse,
Darwaza khula rakhna,

Aankhon mein ek alam, aankhon mein to duniya hai,
Honthon pe magar mohrein, munh se nahi kehta hai,
Kis chiz ko kho baitha hai, kya dhundne nikla hai,
Darwaza khula rakhna,

Haan thaam mohabbat ki gar thaam sake dori,
Sajan hai, tera sajana, ab tujhse to kya chori,
Yeh jis ki manaadi hai basti mein teri gori,
Darwaza khula rakhna,

Shikwon ko utha rakhna, aankhon ko bichha rakhna,
Ek shama dareeche ke chaukhat pe jala rakhna,
Mayoos na phir jaaye, haan paas-e-wafa rakhna,
Darwaza khula rakhna darwaza khula rakhna.


Photography..... 2

Art work of Ali & Sadia


Turtles of my Boss


Flowers of SEC




Tuesday 4 June 2013

Kitabon mein phool rakhna



Hassan Rizvi Poetry








kabhi kitabon mein phul rakhna
kabhi darakhton pe nam likhna
hamein bhi hai yad aj tak wo
nazar se harf-e-salam likhna

wo chand chehre wo behki baten
sulagte din the mehakti raten
wo chote-chote se kagzon par
muhabbaton k payam likhna

gulab chehron se dil lagana
wo chupke chupke nazar milana
wo arzuon k khwab bunna
wo qissa-e-natamam likhna

mere nagar ki hasin fizao
kahin jo un k nishan pao
to puchna ye kahan base ho
kahan hain un ka qayam likhna

gai ruton mein ?Hassan? hamara
bas ek hi to ye mashgala tha
kisi k chehre ko subah kahna
kisi ki zulfon ko sham likhna











Noshi Gilani Poetry







Bohat Aaraam Karna Chahti Hun
Yehi Ek Kaam Karna Chahti Hun

Shaoor-e-Aagahi Ek Almiaa Hai
Ise Neelaam Karna Chahti Hun

Mein Apni Umer Ke Saaray Asaasay
Tumhaaray Naam Karna Chahti Hun

Tumharay Khaima-e-Khushbuu Mein Reh Kar
Mein Subaah-o-Shaam Karna Chahti Hun

Charaaghon Se Hawaa Ki Dushmani Hai
Ise Naakaam Karna Chahti Hun