Monday 25 November 2013

Meri Xindagi Hai tu Lyrics












Main Chahoon Tujh Koo,Maan Main Ek Tum Hi Ho
Tujh Sa Koi Nahi, Shaam-O-Saher Tum Hi Ho
Khamosh Dil Phir Bhi Dharakta Hai Tere Liye Tere Liye 
Mera Hasil Tuhi Ishq Hai Tujh Se Main Kese Kaho 

Meri Har Khushi Hai Tu Meri Zindagi Hai Tu 

Khas Hai Tu Har Ghari Jab Tu Pas Hai 
Le Chalo Ajnabi Chehry Hain Le Chalo
Tm Mily To Khil Jayn Gy Ye Chaman 
Sath Jo Chora To Mar Jayn Sanam 

Ho Man Ki Baatain Dil K 
Arman Hai Tery Lye Tere Lye 
Har Chehry Mmai Dhundu Tujhy
 Mai Meri Kami Hai Tu 

Meri Har Khushi Hai Tu Meri Xindagi Hai Tu 

Bekhudi Chah Rahi Hai Kesi Bekhudi 
Bas Yehi Har Pehar Main Socho Bas Yahi 
Ankahi Haan Baqi Kuch Ankhi 
Naaa Rahi Ab Koi Khwahish Na Rahi 
Kese Kaho Main To Jeeta Hun Tere Liye Tere Liye 

Mera Jeena Bhi Tu 

Muskurahat Tu Rona Bhi Tu 

Meri Har Khsuhi Hai Tu , 

Meri Zindagi Hai Tu 

Saturday 23 November 2013

Tere Utte Marda a dil lyrics : Arminder gill







ye jo deewany se do char nazar aty hain
ye jo deewany se do char nazar aty hain
in main kich sahib e asrar nazar aty hain
tere mehfil ka bharam rakhty hain so jaty hain
warna ye log to bedar nazar aty hain
mere daman main to kanton k siwa kuch bhi nai
aap phoolon k kharidar lagty hain
aur hasher ke roz kon guwahi de ga meri
yahan sab tere tarafdar nazar aty hain


Akh da ishaara, jaadu kar geya ae
Haunke bhar da ae dil, haunke bhar da ae dil
Tere utte, tere utte marda ae dil - 4 times

100-100 tere nakhre ni, haye nakhreyan vich adaawan
Je tu bann je nag mundri da, mundri vich jadawan
Je tu bann je nag mundri da, mundri vich jadawan
Lutt ke lai geya, haye dil saade nu
Teri thodi wala til (teri thodi wala til)
Tere utte, tere utte marda ae dil - 4 times

Akkhan teriyan nain nageene, vich soorme di dhaari
Husn tere te rajj ke chadeya, husn di chadi khumaari
Husn tere te rajj ke chadeya, husn di chadi khumaari
Chiran ton haan labhde, tenu paaon layi
Ni tu gayi saanu mil (ni tu gayi saanu mil)
Tere utte, tere utte marda ae dil - 4 times

Pyaar tere vich paagal hoyea, kehnde loki saare
Ho jaa ni tu Tari di, oh jaan tere ton vaare
Ho jaa ni tu Tari di, oh jaan tere ton vaare
Banwalipuria, haye tak ke ni tenu
Gaya nashe vich khil (gaya nashe vich khil)
Tere utte, tere utte marda ae dil - 4 times

Sunday 17 November 2013

Roya re by Sheraz Uppel lyrics








tanha dil. . .

tanhai
sanG dil tanhai..sanG laai Yaad teri sanG laai
baar baar woh bahaar phir se Yaad aaYi
sooni sooni raah dil ki jisne thi saJaai
tanha dil. .
roYa re. .dil roYa re {4}


har taraF bikhare hai teri Yaad ke hi niSHaaN
meri har eik cheez mein hai teri hi parchaaiYaan

tu hi hota hai..tu hi rehta hai mujh mein har dum sadda
paas bhi tu hai..door bhi tu hi..hai Yeh kaisi khala
Yaad banke aSHq teri aankhon mein samaai 
Yaad banke eik hansi honton pe bhi aaYi
tanha dil. .
roYa re. .dil roYa re {4}


chaand suraj bhi wahin hai..hai wahin aasmaan
zindaGi bhi chal rahi hai..chal raha hai jahaan

mein hi thehra hoon khud mein simta hoon..dil hai Gham se bhara
bin tere kaise jiuun main..kuch toh de maSHwara
zindaGani aisi rehGuzar pe mujhko laai
saaYe se bhi abb tere ho Gai judaai
tanha dil. .
roYa re. .dil roYa re {4}

Saturday 9 November 2013






kabhi kabhi esa bhi hota hai zindagi mai k manzil samny hoti hai aur hum ya
to us manzil tak punch ni paty ya pir uski pehchan ni hoti ......!

Sunday 3 November 2013

Meri Talab Se meray Naseeb Tak








MERI TALAB SE MERAY NASEEB TAK

Meray qurb se meray wajood tak,

Usay ikhtilaf to sada ka tha..

Meray ghum se meray junoon tak,

Yeh faasla bus ana ka tha.

Meri zindgi se meri saans tak,

Woh falsafa buss dua ka tha.

Meri baat se teray zikr tak,

Koi silsila jo hawa ka tha.

Meri haqiqat se meray khawab tak,

Woh bay-khabar intiha ka tha

Meray veham se meray gumaan tak,

ek marhala wafa ka tha..

Meri talab se meray naseeb tak,

Yeh maamla khuda ka tha . . .




Tm abr-e-guraizan ho













Tm abr-e-guraizan ho,

Main sehra ki manind hon,

2 boond jo barso gy,

Be-kaar mein barso gy,

Hy khushk bahut matti,

Hr simt bagolay hen,

Sehra k bagolon se,

Uthtay hi to sholay hen,






Tm khul k agar barso,

To sehra mein gulistaan ho,

Pr tm se kahain kese.?

Tm abr-e-guraizan ho,

JAL THAL jo agar kr do,

TANN MANN mein nami bhar do,

Hy khushk bahut matti,

Poori jo kami kr do,

Phir tm ko bataein gy,

Tm meri "MUHABBAT" ho..!



Apna Hissa shumar karta tha






Apna Hissa shumar karta tha
Wo Mujhse itna pyaar karta tha,

Wo Banata tha Meri Tasveerain
Phir un se Baatein Hazaar karta tha,

Mera Dukh B khaloos-e-Neeyyat se
Apne Dukhon mei Shumaar karta tha,

Such Samajhta tha Jhoot B mera,
Yun Woh Mera Aitbaar Karta tha,

Jab B Rota tha Main Raat ki Tanhaiyon mei
Wo apne Honto se mere ChehrE ko Saaf karta tha,

Aaj Sochta hoon to Aankhein beegh jati hain
Wo Shakhs Mujhse kitna Pyaar karta tha






Har kisi ko duniya me shohratain nhi milti





Har kisi ko duniya me shohratain nhi milti
Zindagi k lamhon ki qeematain nhi milti

Fatah ki khuwahish me amaal b to lazim hain
Sirf kuch iraadon se manzilain nhi milti



Faislay ye chahat k aasmano pe hotay hain
Do dilon k milnay se qismatain nhimilti



Deen aur Duniya ko sath rakhna parta hai
Masjidon me rehnay se jannatain nhi milti



Maan lo is zamanay me or b hain mujh jaisay
Hasb-e-aarzoo jinhay chahatain nhi milti.





Saturday 2 November 2013

Awaz Bhi Tum Ho





Mera Sawan Bhi Tum Hoo Meri Pyaas Bhi Tum Hoo ..!
Sehra Ki Bahon Main Chupi Aas Bhi Tum Hoo..!

Tum Yun Tou Bohat Door Bohat Door Ho Mujh Se..!
Ehsas Ye Hota Hai Mere Paas Bhi Tum Hoo..!

Har Zakham Ki Aaghosh Main Hai Dard Tumhara ..!
Har Dard Main Taskeen Ka Ehsas Bhi Tum Hoo..!

Kho Jao Tou Veeran Si Ho Jati Hain Rahein ..!
Mil Jao Tou Phir Jeeny Ka Ehsas Bhi Tum Hoo..!

Likhti Hon Tou Tum Hi Utarty Ho Qalam Se..!
Parhti Hon Tou Lehja Bhi Tum Awaz Bhi Tum Hoo