Friday, 31 May 2013

Tere lye by Kailash Kher



Link to listen song : http://dc358.4shared.com/img/975286548/14140a3e/dlink__2Fdownload_2FsT7xe5Jc_3Ftsid_3D20130531-100523-0c9fc040/preview.mp3

Jism pak aankhon mein bhar loon,
Saans saans mein shamil kar loon,

Iss duniya mein jaan gawaa,
Tujhe uss duniya mein haasil kar loon,

Zindagi gawakar bhi jo zindagi mile,
Har khushi gawakar bhi jo ek khushi mile.. x2
Woh maang loon tere liye, tere liye, tere liye,
Tere liye, tere liye..

Jism pak aankhon mein bhar loon,
Saans saans mein shamil kar loon,
Iss duniya mein jaan gawaa,
Tujhe uss duniya mein haasil kar loon,

Tere liye.. haan tere liye.....

Zindagi gawakar bhi jo zindagi mile,
Har khushi gawakar bhi jo ek khushi mile..

~~~~~~ MUSIC ~~~~~~

Rooh se rooh ke darmiyaan,
Ishq ke hai hazaroon jahan,
Yaaaa khudaaaaaaaaaaa....
Yaaaa khudaaaaaaaa....

mujhko dede agar ek jahan,
Toh maang loon tere liye, tere liye, tere liye..
Tere liye, tere liye..

Jism pak aankhon mein bhar loon,
Saans saans mein shamil kar loon,
Iss duniya mein jaan gawaa,
Tujhe uss duniya mein haasil kar loon,

Sau sitam uthakar bhi jo ek khushi mile,
Sau janntein gawaa kar bhi jo ek zameen mile..

Tere sajde mein sar hai jhuka,
Tu hi ibadat hai, Tu hi khuda,
Maut ke baad bhi jo mile bandegi ka sila
Toh maang loon tere liye, tere liye, tere liye..
Tere liye, tere liye..


Jism pak aankhon mein bhar loon,
Saans saans mein shamil kar loon,
Iss duniya mein jaan gawaa,
Tujhe uss duniya mein haasil kar loon,

Tere liye.. haan tere liye.....
Tere liye, Tere liye....

Jismo jaan luta kar bhi jo ek haasi mile,
Dil agar jala kar bhi jo roshni mile..
Toh maang loon tere liye, tere liye, tere liye..
Tere liyeeeeeeeeee..

Janmo ka pyar Tere Liye..
Khushiyan hazar Tere Liye..
Jannat du vaar Tere Liye..
Ye jahan nisaar Tere Liye..

Tere Liyeeeee, Tere Liyeeeee,
Tere Liyeeeeeeee.......

Wednesday, 29 May 2013

A Thing of Beauty (Endymion)






A thing of beauty is a joy for ever:
Its lovliness increases; it will never
Pass into nothingness; but still will keep
A bower quiet for us, and a sleep
Full of sweet dreams, and health, and quiet breathing.
Therefore, on every morrow, are we wreathing
A flowery band to bind us to the earth,
Spite of despondence, of the inhuman dearth
Of noble natures, of the gloomy days,
Of all the unhealthy and o'er-darkn'd ways
Made for our searching: yes, in spite of all,
Some shape of beauty moves away the pall
From our dark spirits. Such the sun, the moon,
Trees old and young, sprouting a shady boon
For simple sheep; and such are daffodils
With the green world they live in; and clear rills
That for themselves a cooling covert make
'Gainst the hot season; the mid-forest brake,
Rich with a sprinkling of fair musk-rose blooms:
And such too is the grandeur of the dooms
We have imagined for the mighty dead;
An endless fountain of immortal drink,
Pouring unto us from the heaven's brink.










Saturday, 25 May 2013








“I don’t live in either my past or my future. I’m interested only in the present. If you can concentrate always on the present, you’ll be a happy man. Life will be a party for you, a grand festival, because life is the moment we’re living now.”





Paulo Coelho, The Alchemist

Armghan Arshad








Suno!!
Mujhe Har Pal Tumhari
Yaad Aati Hai,
Kabhi Saanso K
Chalne Pe,
Kabhi Dil K
Machalnay Pe,
Kabhi Barish
Barasnay Pe,
Kabhi Aankhen
Chalakne Pe,
Kabhi Chanda
Nikal Pe,
Kabhi Suraj K
Dhalne Pe,
Kabhi Shab K
Andheron Me,
Kabhi Din K
Sawairon Me,
Kabhi Logo K
Melay Me,
Kabhi Tanha
Akele Me,
Tumhari,
Bus Tumhari Yaad
Aati Hai
Suno!!
Mujhe Har Pal Tumhari
Yaad Aati Hai,,,,,




Friday, 24 May 2013

Fatima Gull







Jo Kehi Kabhi Na Sunai Gai..Meri Zindagi Hai Woh Dastan,
Yun Likhi Gai Kyun Bhala Meri..Takdeer Mein Ruswaiyan,

Yeh Sitam Jo Mujh Pe Guzar Giya..Ke Wajood Mera Bikher Giya,
Meri Zindagi Mujhe Tu Bata..Kis Jurm Ki Mujhe Di Saza,
Akhir Mera Kasour Kya..Akhir Mera Kasour Kya,
Akhir Mera Kasour Kya,
Kahan Kho Gaya Mera Rasta...,
Kahan Gum Huin Meri Manzilain,
Mere Saat Me, Meri Humqadam,
Meri Hum Safer, Meri Mushkilain,

Kyun Yeh Zakham Aankhon Mein Bhar Gain
Mere Khawab Kese Bikher Gaye..Meri Zindagi Mujhe Tu Bata
Kis Jurm Ki Mujhe Di Saza..Akhir Mera Kasour Kya
Akhir Mera Kasour Kya..Akhir Mera Kasour Kia,
Jo Kehi Kabhi Na Sunai Gai..Meri Zindagi Hai Woh Dastan,
Yun Likhi Gai Kyun Bhala Meri..Takdeer Mein Ruswaiyan,

Yeh Sitam Jo Mujh Pe Guzar Giya..Ke Wajood Mera Bikher Giya
Meri Zindagi Mujhe Tu Bata..Kis Jurm Ki Mujhe Di Saza
Akhir Mera Kasour Kya..Akhir Mera Kasour Kya
Akhir Mera Kasour Kia,

Farhat Abbas Shah Poetry



Aik qatra malaal bhi boya nahin geya
Woh khauf tha ke logon se roya nahin geya,


Yeh sach hai ke teri bhi neendain ujarr gayin,
Tujh se bichar ke hum se bhi soya nahin geya


Us raat tu bhi pehle sa apna nahin laga,
Us raat khul ke mujhse bhi roya nahin geya,


Daman hai khushk, ankh bhi chup chaap hai bohat,
Larriyon mein aansuyon ko piroya nahin geya,


Alfaaz talkh, baat ka andaaz sard hai,
Pichlaa malaal aaj bhi goya nahin geya,


Ab bhi kahin kahin pe hai kalakh lagi huyi,
Ranjish ka daagh theek se dhoya nahin geya..



Thursday, 23 May 2013






Wo Meri Rooh Ki Chaadar Main aa K Chhup Gya Aisey....

K  Rooh Nikley To Wo Nikley, Jo Wo Nikley To Rooh Nikley..!